Saturday, July 3, 2021

Kafi hai

bahut khubsurat the vo pal jo tumhare saath guzare

ki aaj bhi is ghar main tumhari khushoo mahekti hai 

darvaze ki ghanti kaano main khankti hai 

tumhara ehesaas ,vo saans, har ek kone main hai 

sofe palang har pal ke sone main hai 

tumhari vo baaten, haseen mulakaten

sab yaad hai mujhe 

har pal ka ehesaas khaas hai mujhe

ki pyar hai mujhe

shayad ye ehesaah hi kafi hai 

ki tum ho yahan meri har saason main

meri har yaadon main

ki tumne itna pyaar kiya hai muje, ye paar hi kaafi hai

ye ehesaas hi kafi hai


 

Khayal Rakhungi ..!!

haan main khayal rakhungi apna, apne aap ka 

haan main khayal rakhungi har us baat ka

haan, main khyal rakhungi ....!!

ab main hi toh hoon, phir se, apne aap main

is baar sada dhyan rakhungi 

haan main khayal rakhungi

khubsurat thi vo baaten, yaaden, mulakaaten

sab sambhaal rakhungi 

haan main khayal rakhungi

apne dil ka is dhadkan ka ab dhyan rakhungi

khyal rakhungi

tum bhi khyal rakhna

apna, dil ka aur har us ehesaas ka,

main bhi dhyhan rakhungi , khyal rakhungi




Sunday, May 30, 2021

Ey panne

Ey panne tu palatna mat

ek khubsurat si kahani likhi hai usne 

tu badalna mat, palatna mat

kaash ki ye kahani is panne main hi aa jaye

aur kitab band ho jaye

ey panne tu hilna mat

kahin likhavat bigad na jaye

ey panne tu simatna mat 

kahin shyahi bikhar na jaye 

samet lena har ek akshar,

har ek baat,

har ek jazbaat ko

ki bas ye panna kabhi khatam na ho paye

aur vo saari kahani isi pe likhta jaye

bas... ey panne tu palatna mat 

kyunki ke khubsurat si kahani likhi hai usne, 

tu hilna mat, badalna mat, simatna mat, palatna mat







Mujhe ishq hai

Mujhe ishq hai tumse, 

tumhare is dil se, 

dhadkan se, 

saans se, 

alfaz se,

Mujhe ishq hai tumse,

tumari baat se,

paar se,

ehesaas se,

mujhe ishq hai tumhare har ek andaaz se,

ishq hai tumhari nazron ke aabhaas se,

haan mujhe ishq hai, tumhare is pyar se.  

Saturday, May 29, 2021

Sharmana

 Mujhe sharam aati hai,

Tumhara mujhe yun khule aam dekhna,

Yun mere baalon, mere gaalon se khelna,

Mujhe sharam aati hai tumhare alfazon se mere dil ka dhadkana,

Meri sanson ka tez ho jana,

Aankhon main khushi ki nami aa jana,

Mujhe sharam aati hai tumhara mere saath yun bebaak ho jana,


Mujhe sharam aati hai tumhara  mujhe yun dekhke sharmana, 

Mujhe dekhke yun muskurana,

Tumhare chune se mere alfazon ka kho jana,

Mujhe sharam aati hi tumhara yun paas aana, 

Aankhon ka milna aur dil main utar jana,

Tumhare lobon se mere labon ka yun takrana, 

aur sharamohaya kho jana, 

aur kahin dur apni duniya basana

aur phir ab kya sharmana...!!

Thursday, May 27, 2021

Dohrahe

 dohrahe pe khadi hoon ki tu ajnabi hai ab

vo aankhen, vo chahna, vo dil ka sehelana 

sab khatam hai ab

dohrahe pe kahdi hoon ki tu ajnabi hai ab

Wednesday, May 26, 2021

Muskurahat

 

vo yun muskurai,
ki saans chad aai,
dil main samai,
aur muskurhat, labo pe khil aai,
aahista aahista dil main utar aai,
aur phir barish banke barsai,
aur khayalon ko cho aai,
phir dekhte hi dekhte, shaam dhal aai
aur phir se vo yun muskurai
ki saans chad aai.....